Saturday 2 July 2011

Usey Kehna Ye Duniya Hai

Usay Kehna Ye Duniya hai

Yahan Har Morr pe Ese bohat se Log milte hain

Jo Andar Tak Utertay hain

Abad Tak saath rehne ki

Ikathay Dard sehne ki

Hamesha Baat krte hain

Usay kehna Ye Duniya hai

Yahan Har Shakhs Mtlb ki

Haddon Tak saath chalta hai

Junhi Mosam Badalta hai

Mohabbat k Sabhi Daaway

Sabhi Qasmein
Sabhi Waaday

Achanak Toot jatay hain

Use kehna Ye Duniya hai

Yahan Har Morr pe Apni

Sada Aankhein khuli rakhna

Koi kitna b acha ho

Koi kitna b sacha ho

Mgr aitbar mat krna

Usay kehna Ye duniya hai

Yahan pe Pyar mat krna .

No comments:

Post a Comment