Thursday 14 July 2011

Nayi ruton k safar mein

Nayi ruton k safar mein
Tumhein ijazat hai bhool jana
Hazar salon pe sabt chahat ki poori tareekh bhool jana
Magar meri jaan...!!!
Sarab mazi k kahawab aalood roz-o-shab ki wo shaam...
Yaad rakhna
Jab mujhe tum ne yeh kaha tha..
K chandni dekho to sarsarati hawa k dil pe meri tamana k naam
Koi peaam likhna
Wo aakhiri shaam yaad rakhna
Teri nigahon se jab mein apni nigah chura k
Palat raha tha
To tum ne kuch bhi nahin kaha tha,,,
Magar hawa mein nami achanak he barh gayi thi...!!

No comments:

Post a Comment