Monday 25 July 2011

Jo Utar Ke Zeenaa-E-Shaam Se Terii Chashm-E-Khush Mein Samaa Gaye

Jo Utar Ke Zeenaa-E-Shaam Se Terii Chashm-E-Khush Mein Samaa Gaye 
Wahii Jalate Bujhate Se Mahar-O-Maah Mere Baam-O-Dar Ko Sajaa Gaye 

Yeh Ajiib Khel Hai Pyar Kaa Main Ne Aap Dekhaa Yeh Mojezaa 
Woh Jo Lafz Mere Gumaan Mein They Woh Terii Zubaan Par Aa Gaye 

Woh Jo Geet Tum Ne Sunaa Nahiin Merii Umr Bhar Kaa Riyaaz Thaa 
Mere Dard Kii Thii Woh Daastaan Jise Tum Hansii Mein Uraa Gaye 

Woh Thaa Chaand Shaam-E-Visaal Kaa Ke Thaa Ruup Tere Jamaal Kaa 
Merii Ruuh Se Merii Aankh Tak Kisii Raushanii Mein Nahaa Gaye 

Yeh Jo Bandgaan-E-Niyaaz Hai Yeh Tamaam Hai Vo Lashkarii 
Jinhen Zindagii Ney Aman Na Dii To Tere Huzuur Mein Aa Gaye 

Tere Vaasavaaon Ke Fishar Mein Teraa Sharar-E-Rang Ujar Gayaa 
Merii Khvaahishon Ke Gubaar Mein Mere Maah-O-Saal-E-Vafaa Gaye 

Merii Umr Se Na Simat Sake Mere Dil Mein Itane Savaal They 
Terey Paas Jitane Jawaab They Terii Ik Nigaah Mein Aa Gaye

No comments:

Post a Comment