Friday 8 July 2011

Hijr key mausam main,yeh barish ka barasna kaisa!

Hijr key mausam main,yeh barish ka barasna kaisa!
Aik sehra say samandar ka guzarana,kaisa?

Aey meray dil na paraishaan ho,tanha ho kar!
Woh teray saath chala kab tha,bicharna kaisa?

Jab shajar saath na de,haar samajh bethay toh!
Zard patto ka hawaoon say,ulajhna kaisa?

Chal muhabbat kay samandar main utar jaty hain?
Pyar karna hai tou phir maut say derna kaisa?

Bewafa kehnay ki bhi jurat na karna aey dil!
Us nay iqrar kia kab tha?mukarna kaisa?

No comments:

Post a Comment