Saturday 2 July 2011

Dunya Ka Kuch Bura Bhi Tamasha Nahi Raha

dunya ka kuch bura bhi tamasha nahi raha
dil chahta tha jis tarah wesa nahi raha
tum se milay bhi ham to judai k mor par
kashti hue naseeb to darya nahi raha
kehtay thay aik pal na jien ge teray baghair
ham dono reh gaye hain, wo wadaa nahi raha
katay hain is tarah se teray baad shab-o-roz
main sans le raha tha par zinda nahi raha
ankhain bhi daikh daikh k khawab a gai hain tang
dil mein bhi ab wo shoq lapka nahi rha
kesay milain ankh kisi ainay se ham
amjad hamaray pas to chehra nahi rha

Amjad Islam Amjad

No comments:

Post a Comment